Sharabi Sayari In Hindi | Funclub

by Hardik (@Funclub) Thursday, July 23, 2015
Sharabi sayari in hindi, love sad sayari, faadu love sharabi sayari, desi daru, funclub

Sharabi Sayari In Hindi | Funclub

#Sharabi #Sayari In #Hindi | #Funclub

Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.

------------

Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahoon aaj phir hosh nahi,
Is tarah dooba hoon teri mohabbat ki gahrai mein,
Hath mein jaam hai aur peena ka hosh nahi.

------

Rok do mere janaze ko zaalimon,
Mujh mein jaan aa gayi hai,
Peeche mud ke dekho kameeno,
Daru ki dukan aa gayi hai…
CHEERS !!

------

Ek jaam ulfat ke naam,
Ek jaam mohabat ke naam.
Ek jaam wafa k naam,
Puri botal bewafa ke naam,
Aur pura theka doston ke naam.

------

Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.

-------

Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain,
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.

-------

Raat ko pee sharab
Toh raat kat gayi..

Din ko kiya hisaab
Toh g@@nd fat gayi...